Pakistan’s Emma Alam bags yet another world championship title - Naya Jahan

Pakistan’s Emma Alam bags yet another world championship title - Naya Jahan

Pakistan’s Emma Alam bags yet another world championship title

Pakistan’s Emma Alam bags yet another world championship title

The 13th World Speed Reading Championship finals were held on Monday 21st March 2022. This championship was held in hybrid form due to the Covid-19 pandemic. The pride of Pakistan Emma Alam defeated more than 100 competitors from across the globe to bag the 13th World Speed Reading championship title. This championship was also delayed due to the ongoing Covid-19 pandemic. In the finals of this championship, Emma Alam defeated the Chinese competitors to win this title. Emma Alam also won the World Memory Championship back in year-2020. Emma Alam also holds two Guinness World Records. The ISPR (Inter-Services Public Relations) recognized Emma as Pride of Pakistan. Another Pakistani girl, Abeerah Ather got the fourth position in this World Speed Reading Championship 2022. Emma Alam and team Pakistan also took part in the 12th World Mind Mapping Championship. Emma came third and Ambreen Hameed grabbed the fourth position in this championship. The Global Chief graded and verified the final results of both the competitions in which more than 100 competitors from numerous countries competed. For the past 4-years, Emma Alam and the team Pakistan has been competing in several mind sports world championships. Emma said that she felt great bringing home yet another World Title. Emma said that She achieves, to inspire! To inspire the youth and young girls of Pakistan to acclimate to the learning methods that are easier, quicker, and prove to be game-changing for academic excellence.     


Pakistan ki Emma Alam ne aik aur world championship title apnay naam kar lia

13th World Speed Reading Championship ke finals Monday 21st March 2022 ko munaqid huay. Covid-19 pandemic ki wajah se ye championship hybrid form main munaqid ki gai. Emma Alam jo ke Pakistan ka fakhar hain ne puri dunya se anay walay 100 se zada competitors ko hara kar 13th World Speed Reading Championship ka title apnay naam kia. Ye championship maujuda Covi-19 pandemic ki wajah se bhi delay hui. Iss championship ke finals main, Emma Alam ne Chinese competitors ko shikast de kar ye title jeeta. Emma Alam ne saal 2020 main honay wali World Memory Championship bhi jeeti thi. Emam Alam ne 2 Guinness World Records bhi apnay naam kar rakhay hain. ISPR (Inter-Services Public Relations) ne Emma ko un ki khidmaat key aitraaf main Pride of Pakistan ke khitaab dia. Aik aur Pakistani larki Abeerah Ather ne World Speed Reading Championship 2022 main fourth position hasil ki. Emma Alam aur team Pakistan ne 12th World Mind Mapping Championship main bhi hissa lia. Emma iss championship main third ain aur Ambreen Hameed ne 4th position hasil ki. In dono competitions main jin main bohat se mumalik ke 100 se zada competitors ne hissa lia ke final results ko Global Chief ne grade kia aur verify bhi kia. Pichhlay 4 saal se Emma Alam aur team Pakistan bohat se mind sports world championships main shamil ho rahay hain. Emma ne kaha ke unhain aik aur World Title jeetnay per bohat khushi ho rahi hai. Emma ne kaha ke wo inspire karnay ke lye kuch achieve karti hain. Wo Pakistan ki young larkion aur naujawanon ko inspire karna chahti hain ta ke wo un learning methods se waqfiyat hasil kar sakain jo ke bohat asaan, sehal, quick hain aur jo ke academic excellence hasil karnay main game changers ka role play kar saktay hain.  


Post a Comment

Previous Post Next Post